Phir bula Karbala, Ya Shah-e-Karbala Apna roza dikha, Ya Shah-e-Karbala
Tere darbar ko, us ke anwar ko Aah! kab paaunga, Ya Shah-e-Karbala
Main ne choomi nahin, Karbala ki zameen Ek arsa hua, Ya Shah-e-Karbala
Kocha-e-paak ko, khas ko khashak ko Choomon aakar shaha, Ya Shah-e-Karbala
Aisa paaun junoon, dhadkanon mein sunoon Karbala Karbala, Ya Shah-e-Karbala
Az-paye chaar yaar, ae Shah-e-zi-waqar Apna shaida bana, Ya Shah-e-Karbala
Chashm-e-nam deejiye, apna gham deejiye Az tufail-e-Raza, Ya Shah-e-Karbala
Khwab mein aaiye, jalwa dikhlaiye Az-paye Mustafa, Ya Shah-e-Karbala
Is gunahgar ko, khwar-o-badkar ko Jaisa bhi hai nibha, Ya Shah-e-Karbala
Ibn-e-Shah-e-Arab! marz-e-isyaan se ab De do mujh ko shifa, Ya Shah-e-Karbala
Ek mazloom ko, apne maghmoom ko Aafton se chura, Ya Shah-e-Karbala
Mere ujde chaman par karam ki bharan Ab to barsa shaha, Ya Shah-e-Karbala
Dil ko mil jaaye chain, al-madad Ya Hussain Hoon bahut ghamzada, Ya Shah-e-Karbala
Ab ho rukhsat khizaan, khil uthe gul-sitaan Woh chala do hawa, Ya Shah-e-Karbala
Zulfiqar-e-Ali, jab adoo par chali Qahar sa chha gaya, Ya Shah-e-Karbala
Aah! dushman mere, khoon ke pyase hue Leke talwar aa, Ya Shah-e-Karbala
Sun lo faryad ko, aao imdad ko Ibn-e-Mushkilkusha, Ya Shah-e-Karbala
Ho muyassar Imam, ab shahadat ka jaam Kar do Haq se dua, Ya Shah-e-Karbala
Janib-e-Karbala, kaash! Attar ka Chal pade qafila, Ya Shah-e-Karbala