Naqsh dil par bitha gaye Tahir Jaam-e-wahdat pila gaye Tahir
Phir raha tha main dar-ba-dar ab tak Mera maskan bana gaye Tahir
Paara paara dil-e-shikasta tha Sacha rasta dikha gaye Tahir
Dar par jo aaya talib-e-irfan Diya dil mein jala gaye Tahir
Un ke dar se hua jo wabasta Us ko apna bana gaye Tahir
Gulshan-e-Ghaus hai dar-e-Tahir Ghausia may pila gaye Tahir
Jo chala naqsh-e-paaye Tahir par Us ke dil ko lubha gaye Tahir
Karo qaim namaz ae logo Raah-e-jannat dikha gaye Tahir
Rakh diya apne qalam ko Sabir ne Kya tha, aur kya bana gaye Tahir