Niqab apne rukh se utha Ghous-e-Azam Mujhe apna jalwah dikha Ghous-e-Azam
Mujhe aisa shaida bana Ghous-e-Azam Ke ho jaaun tujh par fida Ghous-e-Azam
Mere peer-e-roshan zameer aap ko toh Mere haal ka hai pata Ghous-e-Azam
Tumhare hain jitne mureed un sabhi mein Bura hoon, bana do bhala Ghous-e-Azam
Baroz-e-qiyamat hamein apne jhande Tale deejiye ga jagah Ghous-e-Azam
Jo bimariyon mein ghire hain unhein tum Dilado Khuda se shifa Ghous-e-Azam
Mureedeen ko jo satate hain jinnat Khudara unhein do bhaga Ghous-e-Azam
Nazar se ya jadu se jo hain pareshan Ho un par bhi chashm-e-ata Ghous-e-Azam
Kaleja shayateen ka tharra uthe ga Pukaro sabhi mil ke Ya Ghous-e-Azam
Sajayein imama barhayein jo darhi Unhein hashr mein bakhshwa Ghous-e-Azam
Woh behnein jo pehnein sada ''Madani burqa'' Unhein hashr mein bakhshwa Ghous-e-Azam
Jo hain waqf, sunnat ki khidmat ki khatir Unhein hashr mein bakhshwa Ghous-e-Azam
Jo rozana dete hain neki ki dawat Unhein hashr mein bakhshwa Ghous-e-Azam
Safar qafile mein jo karte hain har mah Unhein hashr mein bakhshwa Ghous-e-Azam
Jo dein rah-e-Maula mein barah mahine Unhein hashr mein bakhshwa Ghous-e-Azam
Jo apnate hain ''Madani inaam'' aksar Unhein hashr mein bakhshwa Ghous-e-Azam
Dam-e-naz’a pani utarta nahi hai Pila sharbat-e-deed Ya Ghous-e-Azam
Hai Attar ko salb-e-imaan ka dharka Bacha is ka imaan bacha Ghous-e-Azam