Nabi ﷺ ke nawasay Hussain ؑ ibne Haider ؑ Ladakpan ka wada nibhanay chalay hain Su-e-Karbala woh bhatar ko lekar Raza-e-Khuda sar katanay chalay hain
Woh ghar se nikal kar Madinay ke bahar Kharay keh rahay hain yeh Zahra ke jaani Laeeno se keh do ke ummat ki khatir Hussain ؑ apnay ghar ko lutanay chalay hain
Nabi ﷺ ke nawasay Hussain ؑ ibne Haider ؑ Ladakpan ka wada nibhanay chalay hain
Jidhar dekhiye maut ka hai andhera Yeh ro ro ke kehta hai dil aaj mera Hazaron ke nargay mein Shabbir tanha Lahu apnay dil ka bahanay chalay hain
Nabi ﷺ ke nawasay Hussain ؑ ibne Haider ؑ Ladakpan ka wada nibhanay chalay hain
Atiq ibne Haider ke seenay mein gham hai Jabhi Asim meri aankhon mein nam hai Woh Zahra ؑ ke pyaray Ali ؑ ke dularay Hai waqt-e-umar sar jhukanay chalay hain
Nabi ﷺ ke nawasay Hussain ؑ ibne Haider ؑ Ladakpan ka wada nibhanay chalay hain