Mustafa ka woh laadla pyara Waah kya baat Aala Hazrat ki
Ghaus-e-Azam ki aankh ka taara Waah kya baat Aala Hazrat ki
Sunniyon ke dilon mein jis ne thi Shama-e-ishq-e-Rasool roshan ki
Woh Habib-e-Khuda ka deewana Waah kya baat Aala Hazrat ki
Allah Allah tabahhur-e-ilmi Ab bhi baqi hai khidmat-e-qalmi
Ahl-e-Sunnat ka hai jo sarmaya Waah kya baat Aala Hazrat ki
Ilm-o-irfan ka jo ke saagar tha Khair se hafiza qawi-tar tha
Haq pe mabni tha jis ka har fatwa Waah kya baat Aala Hazrat ki
Us ki hasti mein tha amal jauhar Sunnat-e-Mustafa ka woh paikar Aalim-e-Deen, sahib-e-taqwa Waah kya baat Aala Hazrat ki
Jis ne dekha unhein aqeedat se Qalb ki aankh se mohabbat se Marhaba marhaba pukaar utha Waah kya baat Aala Hazrat ki
Sunnaton ko jila diya jis ne Deen ka danka baja diya jis ne Woh Mujaddid hai Deen-o-Millat ka Waah kya baat Aala Hazrat ki
Jo hai Allah ka wali beshak Aashiq-e-sadiq-e-Nabi beshak Ghaus-e-Azam ka jo hai matwala Waah kya baat Aala Hazrat ki
Jis ne ihaqaq-e-haq kiya khul kar Radd-e-baatil kiya sada khul kar Jo kisi se kabhi na ghabraya Waah kya baat Aala Hazrat ki
Sun lo kilk-e-Raza hai woh khanjar Aaj bhi jis se larzan ahl-e-sharr Bol bala hai ahl-e-Sunnat ka Waah kya baat Aala Hazrat ki
Phir Bareilly Shareef jaaun main Barkatein Murshidi ki paaun mein Kar loon roze ka khoob nazzara Waah kya baat Aala Hazrat ki
Maula bahr-e-’’Hadaaiq-e-Bakhshish‘‘ Bakhsh Attar ko bila pursish Khuld mein kehta kehta jaaye ga Waah kya baat Aala Hazrat ki