Mere Hussain tujhe salam Mere Hussain tujhe salam Assalam ya Hussain Assalam ya Hussain Assalam ya Hussain
Kar liya nosh jis ne shahadat ka jaam Us Hussain ibn-e-Haider pe lakhon salam
Mere Hussain tujhe salam Mere Hussain tujhe salam Assalam ya Hussain Assalam ya Hussain Assalam ya Hussain
Jin ko dhoke se Kufay bulaya gaya Jin ko baithe bithaye sataya gaya Jin ke bachon ko pyasa rulaya gaya Us Hussain ibn-e-Haider pe lakhon salam
Mere Hussain tujhe salam Mere Hussain tujhe salam Assalam ya Hussain Assalam ya Hussain Assalam ya Hussain
Jin ka jannat se joda mangaya gaya Jin ko dosh-e-Nabi pe baithaya gaya Zehar bhai ko jis ke pilaya gaya Jis ko teeron se chalni karaya gaya Us Hussain ibn-e-Haider pe lakhon salam
Mere Hussain tujhe salam Mere Hussain tujhe salam Assalam ya Hussain Assalam ya Hussain Assalam ya Hussain
Kar chuka woh abhi apni haajat tamam Le ke Allah aur apne Nana ka naam Kufiyon ko sunaye Khuda ke kalam Aur fida ho gaye woh wahi tishna kaam Us Hussain ibn-e-Haider pe lakhon salam