Miran waliyon ke Imam de do Panjetan ke naam Main ne aas hai lagayi badi der se
Daalo nazar-e-karam Sarkar apne mangton pe ek baar Hum ne jholi hai phailayi badi der se
Choron ko tu ne Qutub banaya Barson ka dooba beera taraya Doon main wasta Nabi ka mile sadqa Ali ka Main ne bapta hai sunayi badi der se
Dil ki kali kuch aaj khuli hai Aap aayenge khabar mili hai Zara dhere dhere aao lillah-e-karam kamao Hum ne kutiya hai sajayi badi der se
Kar do karam ka ek ishara Kashti ko mil jaaye kinara Kar do mera beera paar Ghous-e-Azam Sarkar Main ne bapta hai sunayi badi der se
Gher rahe hain gham ke andhere Aao madad ko Miran mere Miran Ghous-e-Azam pyare tera mangta pukare Tere dar par main hoon aayi badi der se