Kya kahoon kya mere Hussain ؑ ka hai Har zamana mere Hussain ؑ ka hai
Haq nibhana mere Hussain ؑ ka hai Dil thikana mere Hussain ؑ ka hai
Jis ke saaye se kainaat hai sab Aisa nana mere Hussain ؑ ka hai
Jis ki khatir yeh kainaat bani Woh toh Nana ﷺ mere Hussain ؑ ka hai
Jis jagah Hur ؑ banaye jaate hain Karkhana mere Hussain ؑ ka hai
Zaiqa maut ka bataye jo Woh bhatija mere Hussain ؑ ka hai
Mit gaya daur ab Yazeedon ka Ab zamana mere Hussain ؑ ka hai
Zer-e-khanjar bhi sajda-e-Ma'abood Yeh kaleja mere Hussain ؑ ka hai
Jis ko Kaaba salaam karta hai Aisa roza mere Hussain ؑ ka hai
Mere ghar mein charagh jalte hain Aana jaana mere Hussain ؑ ka hai
Bab-e-Khaibar jis ne ukhaar diya Aisa Baba mere Hussain ؑ ka hai