We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Kiya Shan Hai Teri Sallay Alaa Not Verified

Mushtaq Goalra Shareef

Kya shaan hai teri sall-e-ala Ya Abdul Qadir Jilani ؓ Tu noor-e-Nabi ؑ tu noor-e-Khuda Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Hai wird yahi ab subh-o-masa Ya Abdul Qadir Jilani ؓ Kya naam hai tera naam-e-Khuda Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Jab aap ka daaman thaam liya Ya Abdul Qadir Jilani ؓ Khali na raha daaman-e-dua Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Kis dar pe jhukaain sar apna hum kis ko sunaain haal apna Hai kaun hamara tere siwa Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Hoon garchay sarapa jurm-o-khata hai laaj tumhare haath shaha Hoon aap ke dar ka main kutta Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Konain pe tera qabza hai har ja pe sikka chalta hai Hain milk mein teri arz-o-sama Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Jo dar pe tere aa jata hai woh dil ki muraadein paata hai Tu bahr-e-karam hai kaan-e-sakha Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Jab hashr mein jaaun pesh-e-Khuda ho haath mera daaman tera Maqbool ho itni meri dua Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Jo tera khaata peeta ho jo tere sahaare jeeta ho Woh kis ko pukaaray tere siwa Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Jo dil ki khwahish hoti hai woh foran hi bar aati hai Yeh aap ke dar ka hai sadqa Ya Abdul Qadir Jilani ؓ



Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play


Waliyon ke sar pe qadam jis ka, choron ko jo de abdal bana Hai aisa kaun tumhare siwa Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Tughyani-e-isyaan ke aagay kamzor hai langar tauba ka Kashti ko bachaana bahr-e-Khuda Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Jo aap ke dar ka banda ho ghar aur na ho koi jis ka Baghdad se kyun ho door para Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Allah ne sab qudrat di hai Qadir ke ho tum Qadir banday Qismat ko bana do meri zara Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Kamzor samajh kar duniya mein aghyaar dabaate hain hum ko Kuch paas toh kijiye apnon ka Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Main shoomi-e-qismat ka maara gardab-e-hawas mein sakht phansa Ab gharq hua ab gharq hua Ya Abdul Qadir Jilani ؓ


Mushtaq dar-e-aqdas pe khara ro ro ke yahi deta hai sada Sab baksh do mere jurm-o-khata Ya Abdul Qadir Jilani ؓ۔

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah