Khuda ke deen ka nakhuda har ibtida ki ibtida Karam ki intiha Hussainؑ hai
Kare jo koi hamsari kisi ki kya majaal hai Jahan mein har lihaz se Hussainؑ bemisal hai Yeh ho chuka hai faisla na koi doosra Khuda Na koi doosra Hussainؑ hai
Karo ge gar mukhalifat gham-e-Hussainؑ ki yahan Woh hashr hoga hashr mein ke al-hafeez-o-al-aman Jahan bhi chupne jaao ge kahin pe bach na paao ge Ke har jagah mera Hussainؑ hai
Qaza ke baad phir mujhe nayi hayat mil gayi Fishar se azab se mujhe nijat mil gayi Sawal jab kiya gaya hai kaun tera rahnuma Toh main ne keh diya Hussainؑ hai
Hai jis ki fikr-e-Karbala woh dimagh hai Yeh Panjetan ki anjuman ka paanchwan chiragh hai Hassanؑ ka pehla hamsafar Aliؑ ka doosra pisar Imam teesra Hussainؑ hai
Aseer-e-Shaam par nigah ki toh Hurrؑ bana diya Jo mar rahe the un ko zindagi ka gur sikha diya Hussainؑ hai hayat gar Hussainؑ azmaton ka ghar Azeem rahnuma Hussainؑ hai
Miyan-e-dasht-e-Nainawa ulatne fauj-e-ashqiya Barha jo Shah-e-Karbala utha ke tegh-e-la-fata Lagi jo sar utaarne kaha yeh Zulfiqar ne Ghazab ka soorma Hussainؑ hai
Hidayat-e-Hussainؑ par amal karo Hussainiyo Rahein ge hum bahisht mein yaqeen rakho Hussainiyo Qabool hogi har dua kisi se kyun darein bhala Hamara wasta Hussainؑ hai
Shaheed-e-Karbala ka gham jise bhi nagawar hai Woh bad-amal hai bad-nasab isi pe beshumar Arey o dushman-e-aza tu mar zara lahad mein ja Pata chale ga kya Hussainؑ hai
Suroor Goharؔ hunar hua yeh khwab dekh kar Saje hue hain khuld mein tamam momino ke ghar Nishan-e-gham hai jalwa-gar har aadmi ke seene par Har ek lab pe Ya Hussainؑ hai