Kar liya nosh jis ne shahadat ka jaam Us Hussain ؑ ibn-e-Haider ؑ pe lakhon salam
Jis ko dhoke se koofe bulaya gaya Jis ko baithe bithaye sataya gaya Jis ke bachon ko pyasa rulaya gaya Jis ki gardan pe khanjar chalaya gaya Us Hussain ؑ ibn-e-Haider ؑ pe lakhon salam
Jis ne haq Karbala mein ada kar diya Apne nana ka wada wafa kar diya Ghar ka ghar sab supurd-e-Khuda kar diya Sab kuch ummat ki khatir fida kar diya Us Hussain ؑ ibn-e-Haider ؑ pe lakhon salam
Jis ka jannat se jora mangaya gaya Jis ko dosh-e-Nabi ﷺ par baithaya gaya Jis ke bhai ko zeher pilaya gaya Jis ko teeron se chalni karaya gaya Us Hussain ؑ ibn-e-Haider ؑ pe lakhon salam
Kar chuka abhi apni hujjat tamam Le ke Allah aur apne nana ka naam Kufiyon ko sunaya Khuda ka kalam Aur fida ho gaya Shah-e-Aali Maqam Us Hussain ؑ ibn-e-Haider ؑ pe lakhon salam