Ka'batullah mein wiladat, marhaba shan-e-Ali Payi masjid mein shahadat, marhaba shan-e-Ali
Hai mubarak zindagi mein ijtema-e-barkatain Allah Allah yeh sa'adat, marhaba shan-e-Ali ؓ
Un ke sab ausaf ka kyonkar ihata ho sake Zikr jin ka hai ibadat, marhaba shan-e-Ali
Doobe suraj ka palatna teri khatir Abu Turab Kya mila ajr-e-ita'at! marhaba shan-e-Ali ؓ
Martabat un ki bhala be-misal phir kyonkar na ho Chehra takna bhi ibadat, marhaba shan-e-Ali
Apne bachon ka niwala dena sail ko Jaleel! Us gharane ki hai aadat, marhaba shan-e-Ali