Hussain duniya mein aa rahe hain Hussain duniya mein aa rahe hain
Khila hai chehra Hussainiyon ka Hussain duniya mein aa rahe hain
Naseeb-e-ahl-e-wala banega Khushi mein baab-e-ata khulega Jo aaj mango ge woh milega Yeh aane wala ata karega
Khule ga rehmat ka har khazana Hussain duniya mein aa rahe hain
Jinaan ki khushbu mehak rahi hai Zameen arsh-e-ula bani hai Gulon ke rukh par bhi taazgi hai Sitaare qurbaan woh roshni hai
Hawa munawwar jahan saara Hussain duniya mein aa rahe hain
Tamaam aalam ki jaan ban kar Khuda-e-bartar ki shaan ban kar Kitaab-e-haq ki zabaan ban kar Nubuwwaton ki amaan ban kar
Sahara ban ke Khuda ke deen ka Hussain duniya mein aa rahe hain
Batoolؐ masroor khush Hasanؑ hai Aliؑ ka chehra bhi zaufagan hai Sana-e-Rabb mein Shah-e-Zamanؐ hai Jahan mein takmeel-e-Panjetan hai
Khuda ka poora hua irada Hussain duniya mein aa rahe hain
Hai baal-o-par ki use zaroorat Hai uski gham se ajeeb halat Woh dekhle ab hai kya sakhavat Ke josh par hai Khuda ki rehmat
Jo maange Futrus use milega Hussain duniya mein aa rahe hain
Woh chand sooraj ho ya sitaare Ho phool kaliyan nadi ke dhaare Shajar hajar ho ya koh saare Khushi manate hain sab nazaare
Qaseeda parhta hai zarra zarra Hussain duniya mein aa rahe hain
Ke haq ka chehra nihaal hoga Tabaah baatil ka haal hoga Har ek zarra bahaal hoga Jahan mein Mohsin Kamaalؔ hoga
Salami dega har ek zamana Hussain duniya mein aa rahe hain