Ho naib-e-Sarwar-e-do alam, Imam-e-Azam Abu Hanifah Siraj-e-ummat faqih-e-afkham, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Hai naam Nu'man ibn-e-Thabit, Abu Hanifah hai un ki kuniyat Pukarta hai yeh keh ke alam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Jo be-misal aapka hai taqwa, toh be-misal aapka hai fatwa Hain ilm-o-taqwa ke aap sangam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Gunah ke daldal mein phans gaya hoon gale gale tak mein dhans gaya hoon Nikalo mujh ko baraye Aadam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Hasad ki bimari barh chali hai larai aapas mein than gayi hai Shaha musalman hoon munazzam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Diyar-e-Baghdad mein bula kar mazar apna dikha jahan par Hain noor ki barishein chhama chham, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Ata ho khauf-e-Khuda Khudara do ulfat-e-Mustafa Khudara Karoon amal sunnaton pe har dam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Hai dhoom charon taraf sakha ki bhari hai jholi har ek gada ki Ata ho mujh ko bhi Taibah ka gham, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Tumhare darbar ka gada hoon, main sa'il-e-ishq-e-Mustafa hoon Karam paye Shah-e-Ghaus-e-Azam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Fuzool goi ki nikle aadat, ho door be-ja hansi ki khaslat Durood parhta rahoon main har dam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Bala ka pehra laga hua hai, museebaton mein ghira hua hai Tera muqallid Imam-e-Azam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Shaha! Adu ka sitam hai paiham, madad ko aao Imam-e-Azam Siwa tumhare hai kaun hamdam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Na jeete jee mujh pe aaye aafat main qabr mein bhi rahoon salamat Baroz-e-mahshar bhi rakhna be-gham, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Maroon shaha zer-e-sabz gunbad, ho madfan Aaqa Baqi-e-Gharqad Karam baraye Rasool-e-Akram, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Hui shaha fard-e-jurm aaid, bacha phansa hai tera muqallid Farishte le ke chale jahannam, Imam-e-Azam Abu Hanifah
Jigar bhi zakhmi hai dil bhi ghayal, hazar fikrein hain sau masail Dukhon ka Attar ko do marham, Imam-e-Azam Abu Hanifah