Ho Baghdad ka phir safar Ghous-e-Azam Muhayya wasail woh kar Ghous-e-Azam
Shahanshah-e-jinn-o-bashar Ghous-e-Azam Ho waliyon ke bhi tajwar Ghous-e-Azam
Main pehle bhi Baghdad hazir hua tha Ijazat do bar-e-digar Ghous-e-Azam
Main galiyon mein bistar jama doon phir aakar Do Baghdad mein mujh ko ghar Ghous-e-Azam
Dikha do mazar-e-munawwar ke jalway Dikha do phir apna nagar Ghous-e-Azam
Khuda-o-Nabi ki jo ulfat mein roye Ata kar do woh chashm-e-tar Ghous-e-Azam
Ata ho mujhe apne Allah ka dar Do ishq-e-shah-e-bahr-o-bar Ghous-e-Azam
Mere meethe murshid mujhe phir sharaf de Yeh sar ho tera sang-e-dar Ghous-e-Azam
Mila silsila Qadiri fazl-e-Rab se Main hoon kis qadar bakhtawar Ghous-e-Azam
Hamesha tera ishq bechain rakkhe Ata ho woh soz-e-jigar Ghous-e-Azam
Mujhe apni ulfat ki khairaat de do Meri khaali jholi do bhar Ghous-e-Azam
Meri doobti naao ko do sahara Zara jald aao idhar Ghous-e-Azam
Yahan bhi sahara wahan bhi sahara Idhar Ghous-e-Azam udhar Ghous-e-Azam
Mujhe dushmanon ne kahin ka na choda Hai faryaad! Tooti kamar Ghous-e-Azam
Adu ke muqabil woh himmat ata ho rahoon Kaash! Seena sipar Ghous-e-Azam
Madad al-madad murshidi warna dushman Chala jaan se maar kar Ghous-e-Azam
Zabaan par rahe meri Ya Peer-o-Murshid Tera zikr aathon pahar Ghous-e-Azam
Mera hubb-e-dunya se peecha chuda de Ata apni ulfat tu kar Ghous-e-Azam
Shaha nafs-e-ammara maghloob ho ab Ho shaitan ka door shar Ghous-e-Azam
Hai isyan ke bimar ka dam labon par Khudara lo jaldi khabar Ghous-e-Azam
Tumhein mere haalaat ki sab khabar hai Pareshan hoon main kis qadar Ghous-e-Azam
Shaha! Kaash qufl-e-Madinah laga loon Zabaan par bhi aur aankh par Ghous-e-Azam
Bayaan sun ke tauba gunahgar kar lein Zabaan mein woh de do asar Ghous-e-Azam
Main Baghdad ka koi sag hota aur kaash! Mujhe rakhte tum baandh kar Ghous-e-Azam
Shaheed-e-Madinah ho Attar-e-Aasi Murad is ki yeh aaye bar Ghous-e-Azam