Ghaus-e-Azam Dastagir Allahu Ghani Allahu Ghani bolo Allahu Ghani
Mangton ko mukhtar banaya choron ko abdal Sab ki jholiyan bhar dete hain aise hain lajpal Har mushkil aasaan banate hain Peeran-e-Peer
Maula Ali ke aap hain pyare waliyon ke sardar Sab ke soye bhaag jagayein Baghdadi sarkar Hum par bhi ek nazar-e-karam ho hain bade dil geer
Doobi hui kashti ko nikala jis mein thi baraat Zinda kiya murdon ko jis ne woh hain aali zaat Saare jahan mein koi nahi hai Ghaus Piya ki nazeer
Jis ne un ka naam liya hai us ka beda paar Jo un ke ho jaate hain un ka hai sansaar Aao sabhi gun un ke gaayein jaag uthe taqdeer
Main aasi mangta hoon tumhara dukhiyon ke ghamkhwar Meri naiya paar laga do waliyon ke sardar Tum to sabhi ke haal se waqif ho roshan zameer