Munh se ek baar laga lete jo Maula paani Dasht-e-ghurbat mein na yun thokarein khata paani
Kaun kehta hai ke paani ko taraste the Hussain Un ke honton ko tarasta raha pyasa paani
Zarf yeh Hazrat Abbas ko dekhe koi Nehr qadmon mein thi aur munh se na maanga paani
Garcha bedard ne pyasa hi kiya zibah unhein Sabiron ki magar aankhon mein na aaya paani