Chand jab mah-e-Shaban ka dekhna Us pe likhi hui Karbala dekhna
Chahte ho jo arsh-e-ala dekhna Ik nazar janib-e-Karb-o-Bala dekhna
Jane do bole Shabbir ؑ Abbas ؑ se Subh-e-Ashoor Hur ؑ aayega dekhna
Anbiya bole aapas mein Fizzah ؑ hain khush Ab milega naya mo'jaza dekhna
Kaise Kaaba banaya Ibrahim ؑ ne Shah ؐ ka bante hue ta'ziya dekhna
Dekha leta hai chaudah ki janib Khuda Chahta hai woh jab aaina dekhna
Gar samajhna hai Zainab ؑ ka ehsan hai kya Apni beti ke sar pe rida dekhna
Pharpharata hai zikr-e-Ali ؑ par bohat Kaun walid hai is ka zara dekhna
Bole Abbas ؑ dekha hai Aabis ne jo Is ko Musa ki aankhon ne kya dekha
Bas Asad ؔ zikr kar un ki aulad ka Mustafa ؐ denge tujh ko jaza dekhna