Bistar pe Nabi jis ko sula de woh Ali hai Maula jisay har ek ka bana de woh Ali hai
Hoti ho qaza-e-asar to angusht-e-Payambar Jis ke liye sooraj ko luta de woh Ali hai
Sarkar ke baad aur kiya kis ne yeh dawa Sail ko jo har baat bata de woh Ali hai
Is chehre ki tauqeer bayan kya ho ke jis ko Takna bhi ibadat ka maza de woh Ali hai
Talwar uthaye huay maidan mein aa kar Jo shan-e-shujaat ki barha de woh Ali hai
Qatil ko kabhi pesh kiya jaam kisi ne Jo dushman-e-jaan ko bhi dua de woh Ali hai
Baaton mein nahan jis ke asrar-e-Payambar Jo ilm-o-tauqeer barha de woh Ali hai
De mangne wale ko talab se bhi zyada Sarwar jo gadagar ko bana de woh Ali hai