Bhula dein woh kabhi ae dil nahi aisa nahi karte Kareem apne ghulamon ko kahin tanha nahi karte
Kahin se bhi koi aaye kisi bhi waqt kuch mange Kisi saail ko sharminda Shah-e-Wala nahi karte
Zuban kat bhi agar jaaye yahi Maisam mizaji hai Ali wale kabhi mushkil se ghabraya nahi karte
Abu Talib ke ghar se yun mili hai naat virse mein Qaside badshahon ke toh hum likha nahi karte
Farishton se yeh keh dunga agar pucha Husaini hoon Husaini hoon jo jannat se unhein roka nahi karte
Waseela aap ka deta hoon jab bhi Sayyeda Zahra Kabhi mayoos mujh ko aap ke baba nahi karte
Tere ahwal-e-gham ki khoob hai un ko khabar Hasni Tujhe Taibah mein rakh lenge yun dil chota nahi karte