Baghdad ke musafir mera salaam kehna Ro ro ke murshidi se mera payam kehna
Ya Peer Ghous-e-Azam! Qismat khulegi kis dam? Aaye ga kab yeh dar par tera ghulam kehna
Baghdad wale murshid dar par bula le murshid Dekhe teri gali ke yeh subah-o-shaam kehna
Apni Raza ka murshid mujhda sunayiye ab Mat pherna ise be-nail-e-maraam kehna
Chha jaye aisi masti mit jaye apni hasti Kar do inayat aisa ulfat ka jaam kehna
Kehta tha peer-o-murshid Haq se dua yeh karna Dozakh haram ho aur jannat maqam kehna
Wa'zon ki tere murshid hai dhoom char janib Main bhi kabhi to sun loon meetha kalam kehna
Jalwa dikhana murshid kalma padhana murshid Jis dam ho zindagi ka labrez jaam kehna
Uftad aa padi hai imdad ki ghadi hai Faryad kar raha hai tera ghulam kehna
Sail nawazishon ka kehta tha sazishon ka Murshid ho dushmanon ka qissa tamam kehna
Attar ko bula kar murshid gale laga kar Phir khoob muskura kar karna kalam kehna