Ali Kaaba basane aa raha hai Khuda kya hai batane aa raha hai
Khuda ke ghar mein tha qabza buton ka Ali qabza chhurane aa raha hai
Sajaega zameen par jo mu'alla Ali usko bulane aa raha hai
Haram ke jauf mein Haider utar kar Khuda jhoote bhagane aa raha hai
Kabhi socho woh kitna mohtaram hai Jise Sarwar uthane aa raha hai