Ya Ilahi! Dua hai gada ki Mere Maula tu khairaat dede
Jalwa-e-Sarwar-e-Ambiya ki Mere Maula tu khairaat dede
Sabz gumbad ki mehki faza ki Deed-e-darbar-e-Khairul Wara ki Baagh-e-Taiba ki thandi hawa ki Mere Maula tu khairaat dede
Bheek de ulfat-e-Mustafa ki Sab Sahaba ki Aal-e-Aba ki Ghaus o Khwaja ki Ahmed Raza ki Mere Maula tu khairaat dede
Koi Hajj ka sabab ab bana de Mujh ko Ka’be ka jalwa dikha de Deed-e-Arafat o deed-e-Mina ki Mere Maula tu khairaat dede
De Madine ki mujh ko gadaai Ho ata do jahan ki bhalaai Hai sada aajiz o be-nawa ki Mere Maula tu khairaat dede
Haaziri ke liye jo bhi tarpe Sabz gumbad ka deedar kar le Us ko Taiba ki mehki faza ki Mere Maula tu khairaat dede
Aazim-e-rah-e-Baghdad kar de Jalwa-e-Ghaus se shaad kar de Mujh ko deedar-e-Karbobala ki Mere Maula tu khairaat dede
Har dam Iblees peeche laga hai Hifz-e-imaan ki iltija hai Ho karam amn-e-roz-e-jaza ki Mere Maula tu khairaat dede
Maghfirat kar baroz-e-qayamat Tu karam kar ata kar inayat Khuld mein qurb-e-Khairul Wara ki Mere Maula tu khairaat dede
Barah mah ke musafir bane hain Ya jo "Waqf-e-Madinah" huye hain Un ko ishq-e-Shah-e-do-sara ki Mere Maula tu khairaat dede
Woh bechare ke bimaar hain jo Jinn o jaadu se bezaar hain jo Apni rahmat se un ko shifa ki Mere Maula tu khairaat dede
Woh ke aafaat mein mubtala hain Jo giraftar-e-ranj o bala hain Fazl se un ko sabr o raza ki Mere Maula tu khairaat dede
La-dawa keh chuke sab tabeeb ab Dam labon par hai Rabb-e-Mujeeb ab Jalwa-e-Shah-e-arz o sama ki Mere Maula tu khairaat dede
Qabr tere karam se bane gi Baagh, rahmat ki chadar tane gi Roz-e-mahshar bhi lutf o ata ki Mere Maula tu khairaat dede
Rooh, Attar ki jab juda ho Saamne jalwa-e-Mustafa ho Un ke qadmon mein is ko qaza ki Mere Maula tu khairaat dede