Ya Raheem Ya Rahman Ya Adil Ya Dayyan Ya Hafiz Ya Sattar Ya Wajid Ya Ghaffar Ya Malik Ya Razzaq Tu Khaliq-e-Har Khallaq Har samt hai teri dhoom Ya Hayyu Ya Qayyum
Be-misal hai Tu la-raib Tu pak hai Tu be-aib Har raaz tujhe maloom Har samt hai teri dhoom Ya Hayyu Ya Qayyum
Quran tera inaam hai khaas tera inaam Hai dard ki yeh akseer imaan iski taseer Hai silsila-e-ehsas Alhamd se ta-an-Naas Hai saaf iska mafhoom Ya Hayyu Ya Qayyum
Is daur mein har insaan bebas hai aur be-jaan Hain deedah-e-dil be-noor Manzil se abhi hai door Aise mein mere Ma'abood hai fazl tera maqsood Rakh is se na mehroom
Woh Nabiyon ka sardar kul aalam ka mukhtar Tu saaz hai woh aawaaz Tu raaz woh mehram-e-raaz Tu lafz hai woh farhang Tu hakim woh aurang Tu lazim woh malzoom