Tu hi Maalik-e-bahr-o-bar hai Ya Allahu Ya Allahu Tu hi Khaaliq-e-jin-o-bashar hai Ya Allahu Ya Allahu
Tu abadi hai tu azali hai tera naam Aleem-o-Ali hai Zaat teri sab se bartar hai Ya Allahu Ya Allahu
Wasf bayaan karte hain saare sang-o-shajar aur chaand sitaare Tasbeeh har khushk-o-tar hai Ya Allahu Ya Allahu
Tera charcha gali gali hai daali daali kali kali hai Waasif har ek gul-o-samar hai Ya Allahu Ya Allahu
Duniya jab paani ko tarse rim jhim rim jhim barkha barse Har ek par rahmat ki nazar hai Ya Allah Ya Allah
Raat ne jab sar apna chhupaaya chiriyon ne yeh zikr sunaaya Naghma-baar naseem-e-sahar hai Ya Allah Ya Allah
Bakhsh de tu Attar ko Maula waasta tujh ko us pyaare ka Jo ke nabiyon ka sarwar hai Ya Allah Ya Allah