Pehle pehle toh woh mitti mein sula deta hai Aur phir aap hi murday ko jila deta hai
Kaam bigray mira Allah bana deta hai Raah gum karda ko rastay ka pata deta hai
Pehle karta hai rawanah kisi beemari ko Aur beemar ko phir Maula shifa deta hai
Gulistanon ko kabhi roop khizaan ka de kar Khush numa phool bhi jaaray mein khila deta hai
Be-basar ko woh basarat ka khazana bakhshay Be-zabanon ko Khuda rizq-e-nawa deta hai
Silsila-ha-e-gunah par karam-e-naaz-o-ni'am Yeh woh bakhshish hai jo banday ko Khuda deta hai
Adamiyat ko sharaf-yab karay toh Azhar Ummati mursal-e-aakhir ka bana deta hai