Noor-e-Khuda Meri bebasi mein Meri har khushi mein Bas tera naam pukara Hai Raheem tu Hai Kareem tu Hamein tera hi hai sahara
Maula tere siwa mera kaun yahan Teri rehmat ka talib hai sara jahan
Noor-e-Khuda tu hai kahan Banda tera hai gumshuda
Meri khata inka yeh hai sila In khataon ki dena saza Teri hi rehmat hai ek aasra Hoga woh jo hoga teri raza
Mayoos hai majboor hai Hamein gham ne ghera hua hai Jo door tha tujh se kabhi Woh ab tera hi hua hai
Maula saare jahan mein hukumat teri Saare bebas huye aisi taqat teri
Noor-e-Khuda tu hai kahan Banda tera hai gumshuda
Tu hi hai awwal hai aakhir bhi tu Maula sab kuch hai faani yahan Duniya ki rangat se dil jor kar Bhoola har pal mein tujh ko Khuda
Teri shaan Jalla Jalal-hu Hamein is qadar na saza de Teri rehmat hai char su Hum pe karam farma de
Maula maaon se barh kar mohabbat teri Main khata-kaar hoon yeh hai fitrat meri
Noor-e-Khuda tu hai kahan Banda tera hai gumshuda