Kehti hai yeh phoolon ki rida, Allah hu Allah Ashjaar ke patton ne kaha, Allah hu Allah
Baadal ne aasman pe likha, Allah hu Allah Parbat ki qataron ki nida, Allah hu Allah
Ho Surah-e-Yaseen keh ho Surah-e-Rahman Quran ke lafzon ki sada, Allah hu Allah
Karta hai sana teri barasta hua paani Darya bhi hai masroof-e-sana, Allah hu Allah
Khushboo, kiran, ujaaley, dhanak aur kahkashan Zakir hain tere arz-o-sama, Allah hu Allah
Shabnam giri jo phoolon pe parhti hui sana Bulbul ne dekh kar yeh kaha, Allah hu Allah
Jab naz'a ke aalam mein ho Maula yeh Ajagar Wird-e-zaban ho zikr tera Allah hu Allah