Elahi! madad kar! madad ki ghadi hai Gunahon ke dariya mein kashti phansi hai
Mere tan pe ghaflat ki chadar padi hai Nahoosat gunahon ki chhai hui hai
Gunahon ke dariya mein kashti phansi hai Elahi madad kar madad ki ghadi hai
Yehi baat hum ne bado'n se suni hai Na ho bandagi gar to kya zindagi hai
Ae abr-e-karam! aa baras ja baras ja Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai
Gunahon ke dariya mein kashti phansi hai Elahi madad kar madad ki ghadi hai
Nahi paas husn-e-amal mere Maula Nazar meri tere karam pe lagi hai
Ubaid Raza nekiyon se hai khaali Gunahon mein haasil use bartari hai
Gunahon ke dariya mein kashti phansi hai Elahi madad kar madad ki ghadi hai
Lab-e-Mustafa ﷺ se Khudaya suna de Ubaid Raza! naar se tu bari hai