Hasbi Rabbi jall-Allah Ma fi qalbi ghair-Allah Noor-e-Muhammad sall-Allah La ilaha illallah
Awwal-o-akhir hai Allah Zahir-o-batin hai Allah Hafiz-o-nasir hai Allah La ilaha illallah
Kon-o-makan mein hai Allah Dono jahan mein hai Allah Jism mein jaan mein hai Allah La ilaha illallah
Aala jis ki zaat wahi Aala jis ki sifat wahi Rakh li jis ne laaj wahi La ilaha illallah
Noor-e-Ilahi jab chamka Salli-ala ka shor hua Zarra zarra kehne laga La ilaha illallah
Khul jayen dar jannat ke Dozakh ki sab aag bujhe Dil se koi yak-bar kahe La ilaha illallah
Arz-e-ghulam-e-faqeer hai ab Dakhil-e-jannat hon hum sab Zikr qabool ho yeh Ya Rab! La ilaha illallah