Har khata tu darguzar kar bekas o majboor ki Ya Ilahi! maghfirat kar bekas o majboor ki
Zindagi aur maut ki hai Ya Ilahi! Kashmakash Jaan chale teri raza par bekas o majboor ki
Wasita noor-e Muhammad ﷺ ka tumhe pyare Khuda! Gor-e terah karmunawar bekas o majboor ki
Aap ke meethay Madinah mein pay Ghawth o Raza Hazri ho ya Nabi ﷺ bekas o majboor ki
Jis kisi ne bhi dua ke vaaste ya Rab! kaha Karde poori arzoo har bekas o majboor ki
Amina ke laal ﷺ! sadaqa Fatima ke laal ka Door saari aaftein kar bekas o majboor ki
Behr-e Shah-e Karbala ho door Aqa ﷺ! har bala Ey Habib Rab Dawar! bekas o majboor ki
Nama-e-Aamal mein koi husn-e amal nahin Laaj rakhna rooz mahshar bekas o majboor ki