La ilaha illallah La ilaha illallah Amana bi Rasulillah Amana bi Rasulillah
Dekhte kya ho ahl-e-safa Aa pohanchay mehboob-e-Khuda ﷺ Ya'ni ho chukay jalwa-numa Shahid-e-Haq Shah-e-Batha ﷺ
La ilaha illallah La ilaha illallah
Khalq ke rahbar ﷺ aa pohanchay Haq ke payambar ﷺ aa pohanchay Shafi'-e-mahshar ﷺ aa pohanchay Saqi-e-Kauthar ﷺ aa pohanchay
La ilaha illallah La ilaha illallah
Thandi hawain chalti hain Mash'alein Haq ki jalti hain Hasratein dil ki nikalti hain Khushiyan pair badalti hain
La ilaha illallah La ilaha illallah
Khaliq-e-kul aye Rabb-ul-Ula Shukr tera kyun kar ho ada Hum ko woh mehboob ﷺ diya Rutba jis ka sab se sawa
La ilaha illallah La ilaha illallah
Jin ki Khalil dua mangain Jin ki Masih basharat dein Jin ki gawahi pathar dein Jin se sab sukh dard kahain
La ilaha illallah La ilaha illallah
Aamina bi ko mubarak ho Aur Halima dai ko Hum ko mubarak aur tum ko Shah-e-Aalam ﷺ ki sari ummat
La ilaha illallah La ilaha illallah
Jism se ho jab jaan juda Hum ko milay Firdous mein ja Lootain hum qurbat ka maza Aap ki aye mehboob-e-Khuda ﷺ!
La ilaha illallah La ilaha illallah
Jannat ki jab sair karain Hum bhi sab humrah chalain Hauz-e-Kauthar pohanchain Haath se Aap ke jaam piyain
La ilaha illallah La ilaha illallah
Bakhshish meray maa baap ko bhi Aur meray ahbab ko bhi Ahl-e-sukhan ahbab ko bhi Ahl-e-wafa arbab ko bhi
La ilaha illallah La ilaha illallah
Dawar-e-kul aye Rabb-ul-Ula Sadqa Aala Hazrat ka Jari rahay ta roz-e-jaza Mazhab-e-Ahl-e-Sunnat ka
La ilaha illallah La ilaha illallah