Allah ho dam badam Allah ho Har jagah har ghari har qadam Allah ho Lamha lamha basar ho tere zikr mein Zindagi ka safar ho tere zikr mein Bas zaban naghma-gar ho tere zikr mein Dil mein roshan ho sham-e-haram Allah ho
Har kali har samar lehlahate shajar Chandni kehkashan noori shams-o-qamar Yeh zameen yeh falak balkeh har khushk-o-tar Kar rahe hain sana sab baham Allah ho
Azmaton rif'aton ke nishan tere hain Ae Khuda yeh zameen aasman tere hain Goonjti hai sana az zameen ta falak Wird jari tera az zameen ta falak Tal gayi har bala az zameen ta falak Jab kaha khul gaye pech-o-kham Allah ho
Uski kasrat kiran dar kiran dar kiran Uski nikhat chaman dar chaman dar chaman Uski midhat paun dar paun dar paun Likh ujagar qalam ba qalam Allah ho