Ae khasah-e-khasan-e-rusul ab waqt-e-dua hai Ummat pe teri aake ajab waqt para hai
Jo deen bari shaan se nikla tha watan se Pardes mein woh aaj gharib-ul-ghuraba hai
Jis deen ke mad'u thay kabhi Qaisar-o-Kisra Khud aaj woh mehman-saraye fuqara hai
Woh deen hui bazm-e-jahan jis se farozan Ab us ki majalis mein na batti na diya hai
Choton mein itaat hai na shafqat hai baron mein Pyaron mein mohabbat hai na yaron mein wafa hai
Jo qoum maalik thi uloom aur hukm ki Ab ilm ka wan naam na hikmat ka pata hai
Jo kuch hai woh sab apne hathon ke hain kartoot Shikwa hai zamane ka na qismat ka gila hai