Habib-e-Khuda par laakhon salam Pyare Nabi ﷺ par laakhon salam
Hum sab hain Aaqa ﷺ tere ghulam Honton pe har dam tera hi naam Ae Rehmat-e-Alam Khair-ul-Anaam ﷺ Pyare Nabi ﷺ par laakhon salam
Arsh-e-bareen par tum ko bulaya Raaz na koi tum se chupaya Baad az Khuda hai tera maqam Pyare Nabi ﷺ par laakhon salam
Teri raza mein Rabb ki raza Tere liye hi sab kuch bana hai Tere hi dam se qaim nizam Pyare Nabi ﷺ par laakhon salam
Mushkil mein jab bhi jis ne pukara Dete hain Aaqa ﷺ us ko sahara Mushkil kushai un ki hai aam Pyare Nabi ﷺ par laakhon salam
Hoor-o-malaik jin-o-bashar kya Har zarra zarra shajar-o-hajar kya Har ek sana khwan hai subh-o-shaam Pyare Nabi ﷺ par laakhon salam
Jis ka wazifa zikr-e-Nabi ﷺ hai Chiragh us ko samjho beshak wali hai Rabb se mila yeh us ko inaam Pyare Nabi ﷺ par laakhon salam