Mubarak ho woh Shah-e-parde se bahar aane wala hai Gadaai ko zamana jis ke dar par aane wala hai
Chakoron se kaho Mah-e-dil aa raha hai chamakne ko Khabar dharron ko do Mehr-e-munawwar aane wala hai
Faqiron se kaho hazir hon jo mangenge, payenge Ke Sultan-e-jahan Mohtaj-parwar aane wala hai
Kaho parwanon se sham-e-hidayat ab chamakti hai Khabar do bulbulon ko woh gul-e-tar aane wala hai
Kahan hain tooti umeedain kahan hain be-sahara dil Ke woh faryad-ras be-kas ka yawwar aane wala hai
Thikana be-thikanon ka sahara be-saharon ka Gharibon ki madad be-kas ka yawwar aane wala hai
Bar aayengi muradein hasratein ho jayengi poori Ke woh Mukhtar-e-kul Aalam ka Sarwar aane wala hai
Mubarak dard-mandon ko ho muzda be-qararon ko Qarar-e-dil shakeeb-e-jan-e-muztar aane wala hai
Gunahgaron na ho mayus tum apni rihaai se Madad ko woh Shafi-e-roz-e-mahshar aane wala hai