Madine ke zaa'ir salaam un se kehna Tadapte hain tere ghulaam un se kehna
Ho jab saamne sabz gumbad tumhaare Nigaah-e-aqeedat se daaman pasaare Hai haazir tumhaara ghulaam us se kehna
Badi chaahaton se hai is dar ko paaya Pada hi rahoon dar na choote tumhaara Na jaaoon ga ab tishna-kaam un se kehna
Phirein kab talak dar-ba-dar be-thikaana Kahaan jaayein hum apne dil ki sunaane Tumhi toh banaate ho kaam un se kehna
Isi aarzoo mein guzarte rahe din Ke pahunchein diyaar-e-Nabi ﷺ hum bhi lekin Nahi hai koi intezaam un se kehna
Dikha do Anas ko woh dilkash nazaare Taraste hain jin ko musalmaan saare Yeh baatein ba-sad ehtraam un se kehna