Arz karde jaake koi in baharon ko salam Jo kiya karti hain Taibah ke nazaron ko salam
Ae saba soye Madinah ho agar tera guzar Pesh kardena mera in rah-gazaron ka salam
Sabz gumbad par bichata hai jo shab bhar chandi Us falak ko us falak ke chand taron ko salam
Subh-e-dam aati hain jo rozey ki jali choomne Un hawaon aur fazaon aur baharon ko salam