Ya Shahanshah-e-Umam! Chashm-e-karam Kijiye Aqa! karam chashm-e-karam
Aagaya ab to Madinah ho ata Qalb-e-muztar aankh nam chashm-e-karam
Thokrein dar dar ki khaein kab talak Ya Rasool Allah! hum chashm-e-karam
Chand se chehre ko chamkate hue Khwab mein kardo karam chashm-e-karam
Faltu baton ki aadat door ho Ya Nabi! muhtaram chashm-e-karam
Nafs ka zunnar toro jis tarah Tore Kaabe ke sanam chashm-e-karam
Karbala walon ka sadqa Ya Nabi! Door hon ranj-o-alam chashm-e-karam
Vird-e-lab har dam durood-e-pak ho Ya Shah-e-Arab-o-Ajam! chashm-e-karam
Wasta Aqa! Ziyauddin ka Apna gham do apna gham chashm-e-karam
Ya Nabi! zikr-e-Madinah hi rahe Lab pe mere dam-ba-dam chashm-e-karam
Mera seena ho Madinah Ya Nabi! kash Ho aisa karam chashm-e-karam
Gumbad-e-Khazra ke jalwe aankh mein Jaein bas Shah-e-Haram chashm-e-karam
Ya Nabi! "Neki ki dawat" ki tarap Ho kisi surat na kam chashm-e-karam
Saare deewanon ko Taibah lo bula! Ya Rasool-e-muhtaram! chashm-e-karam
Maut aaye kash! Taibah mein mujhe Azpaye khak-e-Haram chashm-e-karam
Do Baqi Aqa Baqi ab to Baqi Ho karam Aqa! karam chashm-e-karam
Ab sirhane aaiye Ya Mustafa Tootne wala hai dam chashm-e-karam
Hashr hai namah gunahon se hai pur Tum hi ab rakh lo bharam chashm-e-karam
Likh sake Attar naatein aap ki Deejiye! aisa qalam chashm-e-karam