Ya Rabb mere dil mein hai tamanna-e-Madinah In aankhon se dikhla mujhe sahra-e-Madinah
Nikle na kabhi dil se tamanna-e-Madinah Sar mein rahe Ya Rabb mere sauda-e-Madinah
Har zarrah mein hai noor-e-tajalla-e-Madinah Hai makhzan-e-asrar sarapa-e-Madinah
Aisa meri nazron mein sama jaaye Madinah Jab aankh uthaoon toh nazar aaye Madinah
Phirte hain yahan Hind mein hum be-sar-o-samaan Taibah mein bula lo hamain Aaqa-e-Madinah
Is darjah hain mushtaq-e-ziyarat meri aankhain Dil se yeh nikalti hai sada haaye Madinah
Yaad aata hai jab rauzah-e-purnoor ka gumbad Dil se yeh nikalti hai sada haaye Madinah
Main wajd ke aalam mein karoon chaak-e-garebaan Aankhon ke mere saamne jab aaye Madinah
Kyunkar na jhukain khalq ke dil us ki taraf ko Hai arsh-e-Ilahi bhi toh joya-e-Madinah
Sar arsh ka kham hai tere rauze ke muqabil Aflak se oonche hain makan-haaye Madinah
Taibah ki zameen jhaadte aate hain malaik Jibreel ke par farsh-e-mu'alla-e-Madinah
Quran qasam khaata na us shahar ki hargiz Gar hota na woh gul chaman-ara-e-Madinah
Sultan-e-do-alam ki mere dil mein hai turbat Hote hain yeh Ka'abe se sukhan-haaye Madinah
Kyun gor ka khatka ho qayamat ka ho kya gham Shaida-e-Madinah hoon main shaida-e-Madinah
Kyun Taibah ko Yathrib kaho mamnoo hai qatan Maujood hain jab saikron asma-e-Madinah
Jaate nahin Hajj karke jo Ka'abe se Madinah Mardood-e-shayateen hain a'ada-e-Madinah
Bulwa ke Madine mein Jameel-e-Razvi ko Sag apna bana lo use Maula-e-Madinah