Tu ne mujh ko Hajj pe bulaya Ya Allah miri jholi bhar de
Gird-e-Ka'bah khoob phiraya Ya Allah miri jholi bhar de
Maidan-e-Arafat dikhaya Ya Allah miri jholi bhar de
Bakhsh de har Hajj ko Khudaya Ya Allah miri jholi bhar de
Bahr-e-Kauthar-o-beer-e-Zam Zam Kar de karam ae Rabb-e-Akram Hashr ki pyaas se mujh ko bachana Ya Allah miri jholi bhar de
Maula mujh ko nek bana de Apni ulfat dil mein basa de
Bahr-e-Safa aur bahr-e-Marwah Ya Allah miri jholi bhar de
Ya Allahu Ya Rahmanu Ya Hannanu Ya Mannanu Bakhsh de bakhshay huon ka sadqa Ya Allah miri jholi bhar de
Wasta Nabiyon ke sarwar ka Wasta Siddiq aur Umar ka Wasta Usman-o-Haidar ka Ya Allah miri jholi bhar de
Naar-e-Jahannam se Tu bachana Khuld-e-bareen mein mujh ko basana Ya Rabb az pay-e-Shah-e-Madinah Ya Allah miri jholi bhar de
Sail hoon main Teri wila ka Pher de rukh har ranj-o-bala ka Wasta Shah-e-Karbala ka Ya Allah miri jholi bhar de
Jis dam su-e-Taibah safar ho Aankhein tar hon phat-ta jigar ho Aur ata ho sozish-e-seenah Ya Allah miri jholi bhar de
Samne jab ho Gumbad-e-Khazra Qalb-o-jigar hon paara paara Beh niklay ashkon ka dhaara Ya Allah miri jholi bhar de
Shah-e-Madinah ki ulfat de Soz de aur dard-o-riqqat de Ishq-e-Nabi mein khoob rulana Ya Allah miri jholi bhar de
Main hoon banda Tu hai Maula Tu hai Qadir main na-kaara Main mangta Tu denay wala Ya Allah miri jholi bhar de
Soz-e-Uwais-o-Bilal Khuda de Ghous ka sadqa mujh ko bana de Shah-e-Madinah ka deewana Ya Allah miri jholi bhar de
Hazir-e-dar hoon main dukhiyara Ya Rabb! Tera hi hai sahara Ranj-o-alam ne mujh ko maara Ya Allah miri jholi bhar de
Hai Tera farman Ud'uni Hai yeh dua ho qabr na sooni Jalwa-e-Yaar se is ko basana Ya Allah miri jholi bhar de
De husn-e-akhlaq ki daulat kar de ata ikhlaas ki ni'mat Mujh ko khazana de taqwa ka Ya Allah miri jholi bhar de
Bakhsh de meri saari khatayen Khol de mujh par apni atayen Barsa de rahmat ki barkha Ya Allah miri jholi bhar de
Dawat-e-Islami ki Qayyum Ik ik ghar mein mach jaye dhoom Is pe fida ho bachcha bachcha Ya Allah miri jholi bhar de
Yun mera duniya se safar ho Un ki chaukhat mera sar ho Pesh-e-nazar ho un ka jalwa Ya Allah miri jholi bhar de
Taj-o-takht-o-hukumat mat de Kasrat-e-maal-o-daulat mat de Apni Raza ka de de muzda Ya Allah miri jholi bhar de
Jannat mein Aaqa ka parosi Ban jaye Attar-e-Ilahi Maula az pay-e-Qutb-e-Madinah Ya Allah miri jholi bhar de