Sarguzasht-e-gham kahoon kis se tere hote hue Kis ke dar par jaaun tera aastana chhod kar
Be-liqaye yaar un ko chain aa jata agar Baar baar aate na yun Jibreel Sidrah chhod kar
Kaun kehta hai dil-e-be-mudda hai khoob cheez Main to kodi ko na loon un ki tamanna chhod kar
Mar hi jaaun main agar us dar se jaaun do qadam Kya bache bimar-e-gham qurb-e-Masiha chhod kar
Kis tamanna par jiyen ya Rab aseeran-e-qafas Aa chuki baad-e-saba baagh-e-Madinah chhod kar
Bakhshwana mujh se aasi ka rawa hoga kise Kis ke daaman mein chhupon daaman tumhara chhod kar
Khuld kaisa nafs-e-sarkash jaunga Taibah ko main Bad-chalan hat kar khada ho mujh se rasta chhod kar
Aise jalwe par karoon main laakh hooron ko nisaar Kya garaz kyun jaaun jannat ko Madinah chhod kar
Hashr mein ek ek ka munh takte phirte hain adu Aafton mein phans gaye un ka sahara chhod kar
Mar ke jeete hain jo un ke dar pe jaate hain Hasan Jee ke marte hain jo aate hain Madinah chhod kar