Rasool-e-Mujtaba kahiye, Muhammad Mustafa ﷺ kahiye Khuda ke baad bas woh hain phir us ke baad kya kahiye
Shariat ka hai yeh israr Khatam-ul-Anbiya kahiye Mohabbat ka taqaza hai ke Mehboob-e-Khuda kahiye
Jab un ﷺ ka zikr ho dunya sarapa gosh ho jaaye Jab un ﷺ ka naam aaye Marhaba salle ala kahiye
Meri Sarkar ke naqsh-e-qadam sham-e-hidayat hain Yeh woh manzil hai jis ko maghfirat ka raasta kahiye
Muhammad ﷺ ki nabuwwat daira hai noor-e-wahdat ka Isi ko ibtida kahiye isi ko intiha kahiye
Ghubar-e-rah-e-Tayyaba surma-e-chashm-e-baseerat hai Yahi woh khaak hai jis khaak ko khaak-e-shifa kahiye
Madinah yaad aata hai toh phir aansu nahin rukte Meri aankhon ko Mahir chashma-e-aab-e-baqa kahiye