Phir Madine ki galiyon mein ae Kirdgar Kash pahunchun main rota hua zaar zaar
Kash aa kar Madine mein parwana-war Sabz gumbad pe ho jaaun Aaqa nisar
Maal-o-daulat ke anbaar beshak na do Bas muqaddar mein likh do Madine ke khaar
Saqiya jaam aisa pila do mujhe Baad-e-murdan bhi utre na jis ka khumar
Choomta rehta na’lain, Sarkar ke Kash hota main Taiba ka gard-o-ghubar
Aa gaya Hajj ka mausam qareeb aa gaya Mujh pe bhi ho karam mere Parwardigar
Sindh ke baagh aankhon mein jachte nahi Ab dikha do Arab ke haseen regsār
Hum sabhi un ke darbar-e-durbar mein Jaayenge InshaAllah zaroor ek baar
Az tufail-e-Bilal-o-Uwais-o-Raza Do dil-e-beqaraar aankh do ashkbar
Mujh ko aalam-e-dunya se azaad kar Main tere gham mein roun Shaha zaar zaar
Aap ka naam sunte hi Sarkar kash Dil machalne lage jaan ho beqaraar
Mera seena Madina bana dijiye Qalb ki ho Madina Madina pukaar
Gir paro un ke qadmon mein rote hue Aasiyon par bhi un ko to aata hai pyaar
Ab to aajaiye mujh ko chudwaiye Har taraf se gunahon ka houn main shikaar
Mere Aaqa! sirhane chale aaiye Jaan balab kab talak ab kare intezar
Meri aamad ho Taiba mein ae kash yun Chaak seena ho daaman bhi ho taar-taar
Bhaiyo, behno apnao tum sunnatein Khush ho Rabb tum se raazi Shah-e-Namdar
Maut badkaar ko aaye Taiba mein phir Ho Baqi-e-Mubarak mein is ka mazaar
Ya Khuda be-sabab baksh Attar ko Is ko jannat mein de de Nabi ka jawaar