We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Noor Wala Aya Hai

Noor wala aaya hai noor le kar aaya hai Saare aalam mein dekho kaisa noor chhaya hai Assalatu wassalamu alaika ya RasoolAllah ﷺ Assalatu wassalamu alaika ya HabibAllah ﷺ Jab talak yeh chaand taare jhalmalate jaayenge Jab talak jashn-e-wiladat hum manate jaayenge


Noor wala aaya hai noor le kar aaya hai Saare aalam mein dekho kaisa noor chhaya hai Assalatu wassalamu alaika ya RasoolAllah ﷺ Assalatu wassalamu alaika ya HabibAllah ﷺ Un ke aashiq noor ki sham'ein jalate jaayenge Jab ke haasid bilbulate gar garate jaayenge


Noor wala aaya hai noor le kar aaya hai Saare aalam mein dekho kaisa noor chhaya hai Assalatu wassalamu alaika ya RasoolAllah ﷺ Assalatu wassalamu alaika ya HabibAllah ﷺ



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Chaar jaanib hum diye ghee ke jalate jaayenge Ghar ko ghar saare mohalle ko sajate jaayenge Sarkar ki aamad marhaba Dildar ki aamad marhaba Mukhtar ki aamad marhaba Manthar ki aamad marhaba Sardar ki aamad marhaba Salar ki aamad marhaba Jhoom ke bolo marhaba Lab choom ke bolo marhaba Noor wala aaya.... ...... ...... ...... ......


Subh-e-sadiq ho gayi sab Aamina ke ghar chalo Noor ki barsaat hogi hum nahate jaayenge Sarkar ki aamad marhaba Dildar ki aamad marhaba Mukhtar ki aamad marhaba Manthar ki aamad marhaba Sardar ki aamad marhaba Salar ki aamad marhaba Noor wala aaya ... ...... ...... ...... ...... ......


Aamina ke ghar mein Aaqa ki wiladat ho gayi Laayi hai khushiyon ki baaraan Eid-e-Milad-un-Nabi Aao deewano chalo sab Aamina ke ghar chalein Noor se bhar laayein daaman Eid-e-Milad-un-Nabi Khoob jhoomo ae gunahgar tumhari Eid hai Ho gaya bakhshish ka saamaan Eid-e-Milad-un-Nabi


Gham ke maaro be-saharo bas tumhari Eid hai Ho gaya raahat ka saamaan bas tumhari Eid hai Be-qararo dil-figaro bas tumhari Eid hai Kyun ho hairan-o-pareshan Eid-e-Milad-un-Nabi Gham naseebo! bas ghamon ka daur andhera ho gaya Tum manao khoob khushiyan Eid-e-Milad-un-Nabi Eid-e-Milad-un-Nabi toh eidon ki bhi Eid hai Bil-yaqeen hai Eid-e-Eidaan Eid-e-Milad-un-Nabi Noor wala aaya hai noor le kar aaya hai Saare aalam mein dekho yeh kaisa noor chhaya hai Assalatu wassalamu alaika ya RasoolAllah ﷺ Assalatu wassalamu alaika ya HabibAllah ﷺ

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah