Mukhtar-e-zameen, ba'is-e-aflaak Nabi ﷺ hain Wala gauhar-e-qulzum-e-Lau-laak Nabi ﷺ hain
Misbah-e-hareem-e-haram-e-paak Nabi ﷺ hain Sheeraza-e-majmooa-e-idraak Nabi ﷺ hain
Aalam mein woh aaya tha pe dil su-e-Khuda tha Haq us ka raza jo woh raza-ju-e-Khuda tha
Aadam hai wajood-e-Shah-e-Lau-laak ﷺ se Aadam Aalam sab usi Shah ki hasti se hai aalam
Sar-rishta-e-mehr us ka agar hota na muhkam To hote na asdaad-e-anaasir kabhi baham
Kya kya kahun kya kya hai inayat-e-Muhammad ﷺ Hai ba'is-e-ijaad-e-jahan zaat-e-Muhammad ﷺ
Woh pesh-rau-e-khail-e-rasoolan-e-salaf hai Aadam ko usi Noor-e-Ilahi se sharaf hai
Yeh dur-e-yateem aur woh pakeeza sadaf hai Karta hai padar fakhr zahe shan-e-khalaf hai
Paighambar-e-barhaq ki ho kya naat kisi se Khaliq ko mubahat hai ijaad-e-Nabi ﷺ se
Juz zaat-e-Khuda sab pe Muhammad ﷺ ke hain ehsaan Us Shah ke hain khwan-e-karam par sabhi mehman
Woh asl hai aur far' hai sab aalam-e-imkaan Tha khalq-e-do aalam se wahi maqsad-e-Yazdaan