Mujhe Madine ki do ijazat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Pilaao bulwa ke jaam-e-ulfat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Agar nahin meri aisi qismat, Sada huzoori ki paaun lazzat Rulaaye mujh ko tumhari furqat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Ata ho mujh ko gham-e-Madinah, Tapaan jigar chaak chaak seenah Barhay mohabbat ki khoob shiddat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Lagaao seenay mein aag aisi, Qaraar paaye na dil kabhi bhi Rulaaye har dam tumhari ulfat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Main naam par tere waari jaaun, Main ishq mein tere ghar lutaaoon Milay woh jazba milay woh himmat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Husain ibn-e-Ali ka sadqa, Hamare Ghous-e-Jali ka sadqa Ata Madinay mein ho shahadat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Har ik Nabi har Wali ka sadqa, Tujhe teri har gali ka sadqa De Taiba mein marne ki sa'adat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Imam Ahmad Raza ka sadqa, Hamare murshid Zia ka sadqa Baqi-e-Gharqad karo inayat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Waseela Khulafa-e-Rashideen ka, Tamam as-haab o tabieen ka Jawaar-e-Jannat mein ho inayat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Mujhe tum aisi do himmat Aaqa, Doon sab ko neki ki dawat Aaqa Banado mujh ko bhi naik khaslat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Qaleel rozi pe do qana'at, Fuzool goi se de do nafrat Durood parhta rahoon bakasrat Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Gunah ke daldal se ab nikalo, Mujhe sambhalo mujhe bachalo Kahin na ho jaaun Shah! ghaarat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Banado sabr o raza ka paikar, Banoon khush-akhlaq aisa sarwar Rahay sada narm hi tabiyat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat
Na ho ata is ko maal o daulat, Na deeje Attar ko hukoomat Yeh tera talib hai jaan-e-Rahmat, Nabi-e-Rahmat Shafi-e-Ummat