We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Mujh Ko Darpaish Hai

Mujh ko darpesh hai phir mubarak safar Qafila ab Madine ka tayyar hai


Nekiyon ka nahi koi tosha faqat Meri jholi mein ashkon ka ik haar hai


Kuch na sajdon ki soghat hai aur na kuch Zuhd-o-taqwa mere paas sarkar hai


Chal para hoon Madine ki janib magar Haye sar par gunahon ka anbaar hai


Jurm-o-isyan pe apne lajata hua Aur ashk-e-nadamat bahata hua


Teri rahmat pe nazrein jamata hua Dar pe hazir yeh tera gunahgar hai


Tera sani kahan! Shah-e-kaun-o-makan Mujh sa aasi bhi ummat mein hoga kahan! Tere afv-o-karam ka Shah-e-do jahan! Kya koi mujh se barh kar bhi haqdar hai?


Ya Nabi! Tujh pe lakhon durood-o-salam Is pe hai naaz mujh ko hoon tera ghulam Apni rahmat se tu Shah-e-Khairul-Anam Mujh se aasi ka bhi naaz-bardar hai



Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play


Mujrimon ko shaha! bakhshwata hai tu Apni ummat ki bigri banata hai tu Gham ke maron ko seene lagata hai tu Ghamzadon be-kason ka tu ghamkhar hai


Sarwar-e-anbiya Rahmat-e-do-sara Tuhi mushkil-kusha tu hi hajat-rawa Jab bhi sar par mere koi tooti bala Izn-e-Rabb se tu mera madadgar hai


Zer-e-jism-e-mubarak kabhi boriya Hath takiya hai bistar kabhi khak ka Jaan-o-dil saadgi par hoon us ki fida Jo ke saare rasoolon ka sardar hai


Do tarapne ka Aaqa qareena mujhe De do khasta jigar chaak seena mujhe Chashm-e-tar de do Shah-e-Madinah mujhe Tere gham ka yeh banda talab-gar hai


Thokrein dar-ba-dar kab tak ab khaoon main Phir Madine muqaddar se jab aaoon main Kash! qadmon mein sarkar marjaoon main Ya Nabi! yeh tamannaye badkar hai


Sunnatain Mustafa ki tu apnaye ja Deen ko khoob mehnat se phailaye ja Yeh wasiyyat tu Attar pahunchaye ja Us ko jo un ke gham ka talab-gar hai

Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah