Muhammad mazhar-e-kamil hai Haq ki shan-e-izzat ka Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka
Yehi hai asal-e-alam maada-e-ijaad-e-khilqat ka Yahan wahdat mein barpa hai ajab hangama kasrat ka
Gada bhi muntazir hai khuld mein nekon ki dawat ka Khuda din khair se laaye Sakhi ke ghar ziyafat ka
Gunah maghfoor, dil roshan, khunak aankhein, jigar thanda Ta’ala Allah! Mah-e-Taibah alam teri tal’at ka
Na rakhi gul ke josh-e-husn ne gulshan mein ja baqi Chatakta phir kahan ghuncha koi bagh-e-risalat ka
Barha yeh silsila rehmat ka daur-e-zulf-e-wala mein Tasalsul kaaley koson reh gaya isyaan ki zulmat ka
Saff-e-maatam uthay, khaali ho zindaan, tootein zanjeerein Gunahgaro! chalo Maula ne dar khola hai jannat ka
Sikhaya hai yeh kis gustaakh ne aaina ko Ya Rabb Nazzara ru-e-jaanan ka bahana kar ke hairat ka
Idhar ummat ki hasrat par udhar Khaliq ki rehmat par Nirala taur hoga gardish-e-chashm-e-shafa’at ka
Barhein is darja maujein kasrat-e-afzal-e-wala ki Kinara mil gaya us nehar se darya-e-wahdat ka
Kham-e-zulf-e-Nabi Sajid hai mehrab-e-do abru mein Ke Ya Rabb tu hi wali hai siyah-kaaran-e-ummat ka
Madad aye joshish-e-girya baha de koh aur sehra Nazar aa jaaye jalwa be-hijab us pak turbat ka
Huay kamkhwab-e-hijraan mein saton parday kamkhwabi Tasawwur khoob bandha aankhon ne astar-e-turbat ka
Yaqeen hai waqt-e-jalwa laghzishein paaye nigah paaye Milay josh-e-safaye-jism se pabos-e-Hazrat ka
Yahan chirka namak waan marham-e-kafoor haath aaya Dil-e-zakhmi namak-parwarda hai kis ki malahat ka
Ilahi muntazir hoon woh khiram-e-naaz farmayein Bicha rakha hai farsh aankhon ne kamkhwab-e-basarat ka
Na ho Aaqa ko sajda Aadam-o-Yusuf ko sajda ho Magar sadd-e-zaraye’ daab hai apni shariat ka
Zaban-e-khar kis kis dard se un ko sunati hai Tarapna dasht-e-Taibah mein jigar-afgar-e-furqat ka
Sirhanay un ke bismil ke yeh betabi ka maatam hai Shah-e-Kausar tarahum tashna jaata hai ziyarat ka
Jinhein marqad mein ta-hashr ummati keh kar pukaro ge Hamein bhi yaad kar lo un mein sadqa apni rehmat ka
Woh chamkein bijliyan Ya Rabb tajalliyaat-e-jaanan se Ke chashm-e-Toor ka surma ho dil-e-mushtaq-e-ru’yat ka
Raza-e-khasta! josh-e-bahr-e-isyaan se na ghabrana Kabhi toh haath aa jaye ga daaman un ki rehmat ka