We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Mudat Se Mere Dil Mein

Muddat se mere dil mein hai arman-e-Madinah Rauze pe bula lijiye Sultan-e-Madinah


Ae kash! pahunch ke dar-e-janan-e-Madinah Ho jaaun main sau jaan se qurban-e-Madinah


Aate hain muqaddar ke Sikandar tere dar par Be-izn ho kaise koi mehman-e-Madinah


Aag aisi laga dijiye qalb aur jigar mein Rota rahoon tarpaa karoon ae jaan-e-Madinah


Gulzar yahan ke ise achhe nahin lagte Aankhon mein samaye hain biyaban-e-Madinah


Ab Sindh ke jangal mein mera jee nahin lagta Bas mujh ko bula lije gulistan-e-Madinah


Duniya ke nazare hamen ik aankh na bhayen Nazron mein basen kash! biyaban-e-Madinah


London koi Japan chala maal kamane Deewana chala su-e-biyaban-e-Madinah


Duniya ka koi shahr ho kis tarah mumasil? Jab khuld-e-bareen bhi nahin hum shan-e-Madinah


Kar dijiye deedar se aankhen meri thandi Ae jaan-e-jahan Sayyid-o-Sultan-e-Madinah


Ae kash! muballigh main banoon deen-e-mubeen ka Sarkar! karam az-pay-e-Hassan-e-Madinah



Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play


Qadmon mein bula lijiye badkar ko Aaqa Aur is ko bana lijiye mehman-e-Madinah


Attar ko daulat na hukumat ki talab hai De dijiye Baqi us ko to Sultan-e-Madinah

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah